![]() |
| Momos |
Ingredients:
- 2 cup maida (all-purpose flour)
- 1/2 tsp namak
- 3/4 cup paani (dough ke liye)
- 1 cup finely chopped gobi (cabbage)
- 1/2 cup finely chopped gajar (carrot)
- 1/2 cup finely chopped pyaz (onion)
- 2-3 hari mirch (finely chopped)
- 2 tbsp soy sauce
- 1 tbsp vinegar
- 1 tsp ginger-garlic paste
- 1/2 tsp black pepper powder
- Namak swad anusar
- Tel (steaming ke liye)
Method:
1. Maida, namak aur paani mila kar smooth dough bana kar rakh do.
2. Sabziyon ko ache se chop kar ke ek bowl me daal do.
3. Soy sauce, vinegar, ginger-garlic paste, pepper powder aur namak daal kar acchi tarah mix karo.
4. Dough se chhoti balls bana kar patla roti jaisi bel lo.
5. Har roti me sabzi ka mixture daal kar edges ko ache se seal karo.
6. Steamer me tel laga kar momos ko 10-12 min tak steam karo.
7. Garma garam chutney ke saath serve karo.
